Showing posts with label Islamic Quotes (Urdu). Show all posts
Showing posts with label Islamic Quotes (Urdu). Show all posts

Tuesday, January 7, 2014

3 Aayato'n Mein ALLAH Ka Ism-e-Azam Hai

3 Aayato'n Mein ALLAH Ka Ism-e-Azam Hai

Hazrat Muhammad SAW ka Irshad-e-Pak hai ke :

3 Aayato'n mein ALLAH ka Ism-e-Azam hai, jis ke zariye Dua mangi jaye to radd nai hoti.

1) اللَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ

Allah - there is no deity except Him, the Ever-Living, the Sustainer of existence.
خدا (جو معبود برحق ہے) اس کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں ہمیشہ زندہ رہنے والا

[Surat Aal-Imran #2]

2) اللَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ ۚ لَا تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلَا نَوْمٌ ۚ لَّهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ ۗ مَن ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِندَهُ إِلَّا بِإِذْنِهِ ۚ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ ۖ وَلَا يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِّنْ عِلْمِهِ إِلَّا بِمَا شَاءَ ۚ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ ۖ وَلَا يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا ۚ وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ

Allah - there is no deity except Him, the Ever-Living, the Sustainer of [all] existence. Neither drowsiness overtakes Him nor sleep. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. Who is it that can intercede with Him except by His permission? He knows what is [presently] before them and what will be after them, and they encompass not a thing of His knowledge except for what He wills. His Kursi extends over the heavens and the earth, and their preservation tires Him not. And He is the Most High, the Most Great.
خدا (وہ معبود برحق ہے کہ) اس کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں زندہ ہمیشہ رہنے والا اسے نہ اونگھ آتی ہے نہ نیند جو کچھ آسمانوں میں اور جو کچھ زمین میں ہیں سب اسی کا ہے کون ہے جو اس کی اجازت کے بغیر اس سے (کسی کی) سفارش کر سکے جو کچھ لوگوں کے روبرو ہو رہا ہے اور جو کچھ ان کے پیچھے ہوچکا ہے اسے سب معلوم ہے اور وہ اس کی معلومات میں سے کسی چیز پر دسترس حاصل نہیں کر سکتے ہاں جس قدر وہ چاہتا ہے (اسی قدر معلوم کرا دیتا ہے) اس کی بادشاہی (اور علم) آسمان اور زمین سب پر حاوی ہے اور اسے ان کی حفاظت کچھ بھی دشوار نہیں وہ بڑا عالی رتبہ اور جلیل القدر ہے

[Aayat-ul-Kursi, Surah Al-Baqarah # 255]

3) وَعَنَتِ الْوُجُوهُ لِلْحَيِّ الْقَيُّومِ ۖ وَقَدْ خَابَ مَنْ حَمَلَ ظُلْمًا

And [all] faces will be humbled before the Ever-Living, the Sustainer of existence. And he will have failed who carries injustice.
اور اس زندہ و قائم کے رو برو منہ نیچے ہوجائیں گے۔ اور جس نے ظلم کا بوجھ اٹھایا وہ نامراد رہا

[Surat Taha # 111]

Thursday, January 12, 2012

Muhabbat sab se karo magar aitabar chand logon par


Muhabbat sab se karo magar aitabar chand (few) logon par karo.

(Hazrat Usman Ghani RadiALLAH)

Jo shaks apney khuloos ki kasmein khaye us par aitbar na karo


Jo shaks apney khuloos (acha honay) ki kasmein (promise) khaye us par kabhi aitbar na karo.

(Hazrat Umar RadiALLAH)

Jo log khudgharz hotay hain wo kabhi achay dost nahi hotay


Jo log khudgharz (Selfish) hotay hain wo kabhi achay dost nahi hotay.

(Hazrat Abu-Bakr Siddique RadiALLAH)

Saturday, December 10, 2011

Never Say About Anything: I Shall Do This Tomorrow, Say InshaAllah


And never say about anything: ?I shall do this tomorrow.?

But that: ?If Allah so wills (i.e., saying: In sha Allah).? And remember your Lord when you forget and say: ?I believe my Lord will show me the path of guidance which is (even) nearer than this one.?


اورکسی بھی چیز کی نسبت یہ ہرگز نہ کہا کریں کہ میں اس کام کو کل کرنے والا ہوں

مگر یہ کہ اگر اﷲ چاہے (یعنی اِن شاء اﷲ کہہ کر) اور اپنے رب کا ذکر کیا کریں جب آپ بھول جائیں اور کہیں: امید ہے میرا رب مجھے اس سے (بھی) قریب تر ہدایت کی راہ دکھا دے گا

Ref: Surat Al-Kahf – Verse 23, 24

Monday, May 16, 2011

Maut (Death) Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bemario'n Ki Dawa Hai

Maut (Death) ko yaad rakhna Nafs ki tamam bemario'n ki dawa hai.

(Ghos-e-Azam Rahmat-ul-Allah)

Wednesday, May 11, 2011

Apney Liye DUA Karo To Doosro'n Ke Bhi DUA Ma Yaad Rakho

Apneyn liye DUA karo to dosron ko bhi yaad rakho, kiya pata us ke naseeb ki khushi tumhri DUA ki muntazir ho.

Thursday, April 21, 2011

Jo 5 wakat namaz perdhta hai wo ALLAH ki hifazat mai hai

Jo 5 wakat namaz perdhta hai wo ALLAH ki hifazat mai hai



Jo koi panch (5) wakat namaz perdhta hai wo ALLAH ki hifazat mai hai, Or jis ki hifazat ALLAH karta hai, Usye koi nuksaan nahi pohuncha sakta.

Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A)

Tuesday, March 22, 2011

Har Saans Ke Badley Naiki Kamaaney Ka Aasaan Tareeka

Jo shakhs sotey waqt 21 bar BISMILLAH parhta hey, ALLAH farishton sey farmata hey ke es ki har saans ke badly neeki likh do.

Friday, March 18, 2011

Sotey Waqt Soney Ki Dua Padhney Ka Sawab

Jo Sotay Hoay Sone Ki Dua Perdh Ley, Wo Jitna Waqt Soye Ga Ibadat Ka Sawab Mile Ga.

Tuesday, March 15, 2011

Tanhaai Ma Kerney Waaley GUNAH Ka Gawah Khud ALLAH

Tanhai mey Gunah sey bacho, Kyun Ke is ka Gawah Allah Tala khud hay.

Friday, February 11, 2011

Lambi Umeedo'n Se Perhaiz Kiya Karo

Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon ke yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.

Wednesday, January 26, 2011

ALLAH Ke Khouf Se Aik GUNAH Chohdhna Laakh Tahajjud Or Nafli Namaz Se Behtar

ALLAH ke khouf se sirf aik gunah chohdh dena lakh tahajud or nafli namaz se bardh kar hai.

Monday, January 24, 2011

Zuban Ki Taizi MAA'N Par Mat Aazmao

‘Apni Zuban ki Tezi us MAA'N (MOTHER) Par mat Azmao, jis nay tumhe bolna sikhaya.

Tuesday, January 18, 2011

Musalmaan Par Musalmaan Ke Panch HAQ

Musalmaan par Musalmaan ke Panch (Five) Haq hain:

1) Salaam ka jawab dena.
2) Mareez ki Eeyadat karna .
3) Janazeh ke hamrah jana.
4) Dawat qabool kerna.
5) Cheheink ka Jawab dena.

Friday, January 14, 2011

SABAR Ki 2 Soortain

SABAR

Sabar Ki 2 Soortain Hain :

1) Jo Na Pasand Ho Usay Bardasht Karna.
2) Jo Pasand Ho Uss Ka Intezaar Karna.

Wednesday, January 5, 2011

Jis GUNAH Se

Jis Gunah Se Umar Kam Hoti Hai, Wo Rishtadaroon Se Badsalooki Hai

Jis Gunah Se Insaan Par Lanat Hoti Hy, Wo Jhoot Hai

Jis Gunah Se Pakar Aati Hy, Wo Zulam Hai

Jis Gunah Se Rizzaq Band Ho Jata Hai, Wo Zana Hai

Jis Gunah Par Pardah Faash Ho Jata Hai,Wo Nasha Hai

Jis Gunah Se Chupna,Faraar Hona Parta Hai,Wo (Qatal) Hai

Jis Gunah Se Namtoon Ko Zawaal Aata Hai Wo Takabbar Hai.

Monday, January 3, 2011

Uss Munh (Mouth) Se Maango Jis Se Tu Ne GNUAH Na Kiya Ho

ALLAH ne Hazrat Musa (A.S.) se farmaya :

“Mujh se us munh (Mouth) se mang jis se tu ne gunah na kiya ho”.

Hazrat Musa (A.S) ne arz kiya:
Ya Elahi! Main wo munh (mouth) kahan se laun?

ALLAH ne farmaya:
“Auron se dua karwa ... Kyun ke un ke munh (Mouth) se toh tu ne gunah nahi kiya hai.

3 Mawaqey Pe DUA Radd Nai Hoti


Jab Ye teen (3) Kefiyaten (Situations) Paida Hon To Foran DUA Mango is Waqt DUA Radd Nahi Hoti

1) Jab Jism Kaanp Uthay

2) Dil Me Khoof Aa Jae

3) Ankhon Se Ansu Jarri Hon.

Sunday, January 2, 2011

Kamyab Zindagi Ke Liye 3 Cheezeon Ko Apnaao

"Kamyab zindagi ke liye 3 cheezon ko apni zindagi ka hisa bana le :

1) JAB JAB TOFIEEQ HO TO KISI BOOKHEY KO KHANA KHILAIEN.

2) Surah Muzammal rozana parien or apney liey dua mangien.

3) Jab khana kha rahey hon to jo zara zara mamooli sa khana neechey girey usey uthaien or Bismillah parrd ker kha lien.
(
khiaal rakhien jitney zarey neechey girien gey utney hi hamarey rizq mai kami hoti jaien gi)."
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...