Showing posts with label Hazrat Ali (R.A). Show all posts
Showing posts with label Hazrat Ali (R.A). Show all posts

Wednesday, January 30, 2013

Agar Tumhain Yaqeen Ho Jay Ke Tumhara Raziq ALLAH Hai

Agar Tumhain Yaqeen Ho Jay Ke Tumhara Raziq ALLAH Hai

Agar Tumhain Yaqeen Ho Jay Ke Tumhara Raziq ALLAH Hai, To Tum Rizq Talaash Na Karo, ALLAH Ko Talaash Karo, Jis Ke Pass Tumhara Rizq Hai.

Hazrat Ali (R.A)

Thursday, August 16, 2012

Pareshani or Musibat, Allah Ki Taraf Se Azmaish Hai Ya Saza



HAZRAT ALI (R.A) se kisi ne poucha:



Yeh kaise pata chale ga ke jo pareshani ya musibat hum par ati hai wo"ALLAH" ki taraf se azmaish hai? Ya hum par"ALLAH" ki taraf se saza hai ?


Ap ne jawab Diya:


Jo musibat tujhe"ALLAH" ki taraf le jaye wo azmaish hai.


Jo musibat tujhe "ALLAH" se dor kar de wo saza hai.

Saturday, January 28, 2012

Janwar Mai Khawahish or Farishtye Mai Aqal Hoti Hai


Janwar mai khawahish or farishtye mai aqal hoti hai, Magar insaan mai dono hoti hai. Ager wo aqal daba le to janwar, Ager khawahish ko daba le to farishta.

Hazrat Ali (R.A)

Saturday, January 21, 2012

Khaliq Se Mangana Shuja'at Hai, Ager De De Tou Rahmat Hai



Khaliq se mangana shuja'at hai, Ager de de too rahmat hai, Na de to hikmat hai.

Makhlooq se mangana zilat hai, Ager de de to ahsaan hai, Na de tou sharmindagi hai.


Hazrat Ali (R.A)

Thursday, January 12, 2012

Achay logon ki khubi ye bi hoti hai ke


Achay logon ki khubi ye bi hoti hai ke unhen yaad rakhna nahi parta, Wo yaad reh jatay hain.

(Hazrat Ali RadiALLAH)

Monday, December 5, 2011

Dua Dastak Ki Tarha Hai


Dua dastak ki tarha hai,
Musalsal dastak say darwaza khul he jata ha...!

HAZRAT ALI (R.A)

Monday, November 28, 2011

KHUBSOORTI ki kami ko ikhlaq pura kar sakta hai


KHUBSOORTI ki kami ko ikhlaq pura kar sakta hai,

Magar

IKHLAQ ki kami ko khubsoorti pura nahi kar sakti".


Hazrat (Ali R.A)

Thursday, September 29, 2011

Time and money are two things which are not in human control

Time and money are two things which are not in human control, Time makes man and money makes him proud.

Hazrat Ali (Razi Allah Ta'ala Anhu)

وقت اور دولت 2 ایسی چیزیں ہیں جو انسان کے اختیار میں نہیں، وقت انسان کو مجبور اور دولت مغرور بنا دیتی ہے.

حضرت علی - رضی الله تعالیٰ عنہ

Friday, September 23, 2011

If you want to test the nature of a person

If you want to test the nature of a person then ask for his advice/suggestion. you will sure find his way of justice, cruelty, good, evil and everything.

جب تم کسی انسان کی طبیعت پرکھنا چاہو تو اس سے مشورا لو یقیاً تم اس کے مشورے سے اس کا انصاف، ظلم نیکی بدی سب جان جاؤ گے

حضرت علی - رضی الله تعالیٰ عنہ

Sunday, September 18, 2011

The best way to take revenge from your enemy is to enhance your qualities

The best way to take revenge from your enemy is to enhance your qualities.

انسان کا اپنے دشمن سے انتقام لینے کا سب سے اچھا طریقہ یہ ہے کہ وہ اپنی خوبیوں میں اضافہ کرے
حضرت علی - رضی الله تعالیٰ عنہ

Hazrat Ali (Razi Allah Ta'ala Anhu)

Wednesday, September 7, 2011

Kisi Se Udhaar Kerney Se Behter Hai Ke Apney PAIT Se Udhaar Ker Lain (Hazrat Ali R.A)

Qasai aawaz laga raha tha ke taza gosht hey le lo. Wahan se Hazrat Ali (R.A) ka guzar hua, tou us ne Hazrat Ali (R.A) ko bi kaha ke acha gosht hey aap bi le jaye'n. Hazrat Ali (R.A) ne kaha aaj meri jeb ijazat nahi deti, Qasai ne kaha main aap se udhar ker sakta hon. Is per Hazrat Ali (R.A) ne farmaya :"Ye udhaar main apne pait se kyun na ker loo'n jis ko main JANNAT mein is se behter ghiza khila sakta hoon"

(Hazrat Ali R.A)

Kabhi Bhi Kamyabi Ko Dimaagh Ma Aur Nakami Ko Dil Ma Jaga Na Daina

Kabhi bhi Kamyabi ko dimaagh ma aur Nakami ko dil ma jaga na dena kyun ke Kamyabi dimaagh ma takabur aur Nakami dil ma mayusi peda ker deti hey.

(Hazrat Ali R.A)

Tuesday, September 6, 2011

The Person Who is Connected With ALLAH is Never Failed

جس کا رابطہ الله تعالیٰ کے ساتھ ہو وہ ناکام نہیں ہوتا، ناکام وہ ہوتا ہے جس کی امیدیں دنیا کے ساتھ وابستہ ہوتی ہیں

حضرت علی رضی الله تعالیٰ عنھ

The Person Who is connected with ALLAH (S.W.TA'ALA) is never failed, but the person who expect from world, never succeed.

Hazrat Ali (Radi Allah Ta'ala Anhu)

Sunday, May 15, 2011

Ikhtiyar, Taaqat aur Daulat Milney Se Log Benaqaab Hotey Hain

IKHTIYAR, TAAQAT aur DAULAT aisi cheezain hain jin ke milnay say log badaltay nahin Baynaqaab hotay hain


[Hazrat ALI( R.A)]

Tuesday, January 25, 2011

ALLAH Ki Marzi

Jab meri DUA kabool ho tu mein khush hota hoo'n , ke is main meri marzi hai aur , Jab kabool na ho tou mein aur khush hota hoo'n , ke ye ALLAH ki marzi hai.

Saturday, January 22, 2011

Ustaad Or Zindagi Ke Imtehaan Ma Farak

Zindagi ustaad (Teacher) se bhi ziyada sakhat hoti hay , Ustaad phele sabak deta hay phir imtehan leta hay lekin zindagi phele imtehan leti hay phir sabak deti hai.

Monday, January 17, 2011

NAMAZ Ki Ehmiat

Sawal hoa ke Namaz kitni zarori hey???




HAZRAT ALI (R.A) ne Farmaya
ke :

“Agar tum pani me doobh rahey ho or tumhey pata ho ke waqt-e-Namaz hey to tum niyat Bandh lo.”

Saturday, January 15, 2011

ALLAH Ki Inayat

Logon Ki Zaruraton (Needs) Ka Tum Se Wabasta Hona Tum Par ALLAH Ki Inayat Hai.

Sunday, January 9, 2011

Na Socho Ke ALLAH Dua Foran Qabool Kyun Nai Kerta

"Yeh Na Socho Allah Dua Foran Qabool Kyun Nahi Karta ,,,Yeh Shukar Karo Ke Allah Hamare Gunahon Ki Saza Foran Nahi Deta "



[Hazrat Ali (R.A)]

Friday, December 31, 2010

KHOF-E-KHUDA ALLAH Se NAZDEEKI Ka Sabab

Farman-e-Hazrat Ali (R.A) :

Insan be kitna ajeeb hai jab wo kisi cheez se darta hai to wo us se door bhagata hai or jab ALLAH se darata hai to nazdeek ata hai.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...